Bahut waqt guzar gya hai..
Bhool gayi hongi wo sadke, wo seediyan hume ab to..Tehle the kabhi jahan, khushiyan aur gum baatein the jahan..
Hawa to aaj bhi waise hi chalti hongi, badlon ki mehfil ab bhi yuh hi sajti hogi..
Bus badal gaye honge usse mehsus karne wale wahan..
Ek daur mano beet gya ho jaise, sochta hun wo naye log honge kaise..
Kya sochte honge wo, kitna badal gya hoga ab to wahan..Kya koyi hoga jo mehsus karta hoga un hawaon ko apni khidki pe baithe..
Un pahadon pe baithe, door us suraj ko dhulte dekhta hoga..
saal dar saal un kamro ne naye chehre dekhe hain, jhulte gungunate madhosh kayi deewane dekhe hain..
kya badla hoga wahan, kisi na kisi padhaku ke kamre pe imtehaan se ek raat pehle lagti hogi mehfil padne walo ki..
aur subah jaldi uthkar padhne ki kasme khane wale so rahe honge ab bhi wahan...
Shaklein badli hongi ya dil badal gaye honge wahan...
Soch kar darr lagta hai ki wo vadiyan khin haar to nhin gayi hongi..Daudti bhagte is naye daur ne kahin badal to na di hongi wo subah ka ehsaas wo baarish ki pyaas..
Ajeeb lagta hai yeh sochkar ki kitne hi log aate hain aur kuch saal mein chale jate hain wahan..
chod jaate hain kayi kisse, aur le jaatein hain saikdon yaadein..
Par kya mehsus karte honge wo jo har saal inhe aate dekhte hain aur kuch saal baad alvida kar fir se lag jate hain kuch naye logon ki zindagi sawarne...
Bahut waqt guzar gya hai par yaad aati hain wo galiyan..
Chole bhaturon pe tootna aur cafe ki rasoi mein piche se ghusna..
chai ki chuski aur sharma ji ki maggi..
Anshu ka dhabha aur wakna ki coffee..
theke pe nautanki aur billu ki chutiyapanti..
Fest ke wo 3 din aur exam ki wo raatein..
Lecture se kalti aur doston sang masti..
Bahut waqt guzar gya hai...
Ab to bhool gaye honge hume wahan...
Bahut Waqt guzar gya hai...
Amazing...!
ReplyDeleteThanks :)
ReplyDeletetest
ReplyDeleteWow.. :) And the third para... #Resonating :)
ReplyDeleteThanks Ankit :)
ReplyDelete