Skip to main content

Posts

Showing posts from July, 2013

Doraha....

Zindagi mano doraha pe aa kar thum gayi ho jaise... Ek raha pe jane ki izzazt nhin, dusri pe jane ko dil nhin... Dard ka khel bhi nirala hai.. Ek taraf pana aur dusre pe de jana hai.. Aaina rakh diya ho samne mano jaise.. Kabhi muskurate hain to kabhi ro lete hain.. Khin dur ek raha aur nazar aati hai.. Ghor andhere ke aage ek loh nazar aati hai.. Jana aasan nhin aur kal ki khabhar nhin.. Ek khushnuma kal ya gum ka tarana hai.. Is doraha se aage jana hai.. Thoda dard le jana hai aur thoda de jana hai... Is Doraha se aage jana hai...

Bahut Waqt Guzar gya hai...

Bahut waqt guzar gya hai.. Bhool gayi hongi wo sadke, wo seediyan hume ab to.. Tehle the kabhi jahan, khushiyan aur gum baatein the jahan.. Hawa to aaj bhi waise hi chalti hongi, badlon ki mehfil ab bhi yuh hi sajti hogi.. Bus badal gaye honge usse mehsus karne wale wahan.. Ek daur mano beet gya ho jaise, sochta hun wo naye log honge kaise.. Kya sochte honge wo, kitna badal gya hoga ab to wahan.. Kya koyi hoga jo mehsus karta hoga un hawaon ko apni khidki pe baithe.. Un pahadon pe baithe, door us suraj ko dhulte dekhta hoga.. saal dar saal un kamro ne naye chehre dekhe hain, jhulte gungunate madhosh kayi deewane dekhe hain.. kya badla hoga wahan, kisi na kisi padhaku ke kamre pe imtehaan se ek raat pehle lagti hogi mehfil padne walo ki.. aur subah jaldi uthkar padhne ki kasme khane wale so rahe honge ab bhi wahan... Shaklein badli hongi ya dil badal gaye honge wahan... Soch kar darr lagta hai ki wo vadiyan khin haar to nhin gayi hongi.. Daudti bhagte is nay